Adhure Ehsaaas

Adhure Ehsaaas

Ja toh rahi ho tum, par kya kabhi reh paogi
Jin ehsaason ki andaja bhi nahi raha tumhe, kya kabhi Sach mein juda ho paogi
Kya Sach mein kaafi hai tumhara Hume bhul jana, ki humara pyaar itna bhi bematlab nahi tha
Achha chodo
Choodo Jane do, inhi kuch shabdon ko kehke Jane diya humne tumhe,
Yakeen karo, har us nikalte shabd ke sath apni jaan ko vida kiya humne

Kabhi aise hi majak mein kaha tha tumne ki koi kavita likhe tumhare liyen,
Shiddat dekho humari, Humne zaria hi bana liya ise.
Is shaadi ke nyote se, azaadi toh maang li tumne
Par kya Sach mein kabhi mehsoos kar paogi is azaadi ko..
Dekha hai Humne tumhe us khidki pe aksar, jahan se pani mein Chand ki parchayi dekha karti thi tum
Us parchayi ki silvhatto mein hume yaad kiya karti thi tum
Kya Sach mein bhul gayin tum woh saari mulakate humari
Jinme khud ke bachpan ko aksar jiya karti thi tum
Achha chodo
Choodo Jane do, in beeti baaton ka mol kahan hi samajh paogi tum
Tum toh bas ek chehra ho, waqt ke sath aise hi pighal jaogi tum..

Lo Maan Liya Humne

Lo Maan Liya Humne

Chalo man Liya ki aakhir ab nahi ho tum
Man Liya ki adhura Chand hi tha kismat mein
Maan hi Liya ki nahi bharega woh ghauv kabhi
Par muskurana kaise hi cheen sakti ho tum..

Chalo Maan Liya ki aansuon ko rokna seekh gaye hain hum
Maan Liya ki chudiyon ki khanak yaad nai dilayegi ab tumhara
Maan hi Liya ki poonam ke Chand ko dekhke nahi tarsenge hum.
Par muskurana kaise hi cheen sakti ho tum..

Maan Liya ki naam ab nahi judega tumhare sath
Maan Liya ki ab parindon ke chehkne mein, tumhari awaaj nahi mehsoos karenge hum
Chalo Maan hi Liya ki rakeeb ki kahi baat Sach hone lagi hai ab
Par muskurana kaise hi cheen sakti ho tum..

Humne aakhir Maan Liya ki tum bas ek naam banke reh Jane wali ho jindagi mein
Maan Liya ki kisi aur ki ho jane wali ho tum
Maan hi Liya ki pyaar mein aksar tut jaya karte hain log
Par muskurana kaise hi cheen sakti ho tum

Toh soch Liya Humne ki tum Sirf ek padav thi jindagi ka
Jaan Liya Humne ki saans lene ki wajeh tumhare alawa aur bhi hain
Yakeen kar Liya ki humne ki jindagi thoda aur bhi haseen ho sakti hai
Par aakhir muskurana toh cheen Liya tumne..

Khanak

Khanak

intzaar ke andhera mein

jaise chupke se chali aati ho teri payal ki khanak

bas isi intzaar mein, aankhein band ho jati hain

din ke ujale mein meri aksar

 

aisa laga nai ki jamana ho gaya hai tumhe mashroof hue

sath jiye hue pal jaise jindagi ban gaye ho is kadar

jaise adhura chaand intzaar mein hai apni poonam k liyen

badalte hua har paher mujhe umeed de jata hai waise

 

yeh dhokebaaji lafzon ki kahun ya tu hi bewafa ho gayi

ki yakeen toh bas hone hi laga tha mujhe

bikhre hue tukde aur unme samayi hue mere sapne

jise totde waqt teri muskarahat ne hi jaan le li meri

 

 

kisse

kisse

Jo batein reh gayi adhuri, mohabbat shayad unme hi chupi thi

Jo chale gaye mudke tum, ikraar shayad usi najar mein reh gaya

aksar sochta hun mein un lamho ko, agar mile hote toh mukkamal hoti jindagi

Ki shayad pyaar the mujhe, ya kisi gunah ki saza mili

Baithkar mehfilo mein aksar, tanhayi jiya karta hun mein

Baithkar Teri parchai ke sath, aksar piya karta hun mein

Yeh Khile hue chehre aur hawa mein behta hua shabab

In mehfilo mein aksar labo pe muskan aur sukhe aansun liye baitha karta hun mein

 

Yeh balon se khelti hui hawa,

yeh patton mein chupi sarsarahat

Teri baton Se shuru hue woh kisse, t

eri aankhon mein shuru hue woh sapne

Yeh jalte bujhte se sitare, yeh pani se sate hue kinare

Woh dikhana mujhe tere bachpan ki jhalak,

woh sunana mujhe apne Aks ke kisse

Woh badalon mein dhundhna ek doosre ko

Woh dhundhna teri aankhon mein khudko

Woh chumna tere mathe ko un sidiyon ke padav pe

Jindagi ka itna khubsoorat hona simta hua tha sirf khwahishob mein meri

 

Had hi hi gayin in birishon ki

in Barishon mein bhigne k maza hi kuch aur hai

Ki boonden pad rahi hain aur tan jal raha hai mera

Aise jalne ka maza bhi kuch aur hai

 

Socha aaj khud se batein karun, aur poochun ki kahan galat ho gaya mein

Baat bhi aisi hui khudse ki phir se tujhme kho gaya mein

In yadoon mein jindagi behtar lagti hai

Sach se door, tanhayi behtar lagti hai

Laut aana un lamho se gunaah sa lagta hai

Galtiyan toh maaf ho jati hai, saza toh gunaahon ki hi hoti hai

 

Ab toh chaand bhi ijajat mang raha hai humse juda hone ki

Jaise dekh li ho kisi himshikar pe suraj ki ek kiran usne

Tera khwab bhi tutne ki ijajat maang raha hai Ki use bhi dar hai in kirno se jal jane ka

Is sach mein wapas aane se us tassavur mein jeena behtar lagta hai

Din ki roshni se behtar kali andheri raat lagti hai

Par pyaar bhi toh umar bhar ka hai mera

Ki raton mein jindagi aur din mein sach jiya karta hun mein

 

Ilm bhi hai ikraar bhi nahi

Tu nahi toh teri yaad hi sahi

Tareefein

Tareefein

Tarifen bikhri hui is bazaar mein,

Humari kahani is kadar mashhoor ho gayi

Mohabbat bhi aisi hui humari

Ki shauk-e-bazaar mein nilami ho gayi

 

Is numaish ki jaise aadat ho gayi hai hume

Ki in tareefo ke beech chehra thoda saaf dikhta hai tumhara

Gujarte hain hum kabhi un yaadon se humari

Toh sachhai ko nagavar karna thoda aur sachha sa lagta hai

Ki kashmakash toh yehi hai jindagi ki

Ki jinda hokar bhi hum sapne mein jiya karte hain

 

Aksar poocha karte hain log us prerna ke bare mein

Jawab mein bhi hum bas rab ka naam le diya karte hain

 

Jindagi simati hui hai kuch aksharon mein humari

Jinhe jod ke kabhi naam liya karte the tumhara

Har lamhe ki shiddat-e- koshish hoti hai yeh

Ki tut jaye yeh bandhan humara

Par khuda ke ghar mein itna bhi insaaf kahan

Ki aazadi ki kimat ki aukat bhi toh sirf rahison ki hoti hai

kabhi kabhi

kabhi kabhi

Jindagi ka intzaar aisa raha

Ki tum gumnaam ho gaye jamane mein

Aur mein pehchaan dhundhta raha

Parchiyon ka aks bhi ajnabee ban gaya hai mera

Ki tumne mehndi saja li

Aur mein astitva khojta reha

 

Us har yaad se rishta aisa ban gaya tha mera

Mein sapne sajata raha

Aur tum rakeeb ke sath duniya saja baithe

 

Armaan beh gaye khara paani banke mere

Tum toh sirf muskan se hi jindagi le baithe

Gurur se  ladai is kadr chali meri

Ki Mathe ki shikan bhi chori chupe zaaya ho jati hain ab

 

Khoj ki koshish bhi pareshan hai mujhse

tum jo kahin nahi the, tum jo har jageh ho

chehra bhi shant ho gaya hai mera

Tum toh hasee se hi saaj bana baithe

 

Kitni batein reh gayi adhuri humari

Jinhe poora karne jee raha hun mein

Un kisso pe doli saja kar

Tum toh kahani hi likh bathe

 

Todna sikh raha hun un khwahison ko mein ab

Ki Tum apne anguthi mein nagine hi jada baithe

Khushi

Khushi
Ae khushi tu kitna satati hai…
Dekh kam kam milti hai phir bhi jatati hai…..

Kabhi phoolon mein doopakti

Kabhi nahro se chalakti tu  jab bhi Aati hai
chahron pe chap chod jati hai….

Ae khushi tu kitna satati hai….

Kabhi  boondo se dhul ke to kabhi panchi ke muh se awaz lagati hai… Or
Roothe kabhi to bachpan ki yadon mein hi mil pati hai.

Ae khushi tu kitna satati hai….

Suna tha tu hare panno mein Milti hai….

kah raha tha koi ki tu sunhare tango mein milti hai …
Per Har shaam teri khoj mein gujar jati hai…
Ae khushi tu kitna satati hai…

ab mile to thoda der tak to rukna….

Thoda mein utha hoon to thoda Tu bhi to jhukna…
Itni jaldi kya hai ki teri jhalak hi mil pati hai…..
Ae khushi tu kitna satati hai…

Tu unki aankhon mein hi mil pati hai….

Ye Raatein, Ye Mausam

Ye Raatein, Ye Mausam
Ye Raatein, Ye Mausam

Shayad aaj phir is hawa mein teri dhundhli tasveer dikhi
Lagta hai aaj chand poora hai
Duniya ke is shor ka sannata koshish kar raha hai sunane apni dastan
Lagta hai aaj sailab aana hai
Chandni fiki si lagti hai tere laung ki chamk se
Itni khubsurati toh khata hi hai khuda ki
Saans lene mein bhi mehak si hai tere baalon ki
Yeh kan se sate hue tere baal, kuch toh ishara karte hain mujhe
Shabab ka nasha hai hi kuch aisa
Ki duniya ke har zarre mein tu hi basti nazar aati hai

Lamhon ki shararat hai yeh, ya kahin naam liya tune mera
In hawaon mein halki si kashish mehsoos hui yahan
Yeh chandni hai ya roshni hai tere chehre ki
Ittefaq se aaj chand mein bhi gurur lagta hai
Is suraj ki deh par boond giri hai kahin
Ya shayad teri muskan ne mausam badal diye hain yahan
Yeh bin badal barsaat ki boonden kuch toh sandesa de rahi hain mujhe
Ki itna shaant toofan toh teri saanson mein hi hua karta tha
Yeh sangeet ka saaz kudrat ka hai,ya Kahin chudiya khanak gayi hai teri
Ki is kayamat ko bhi gumaan sa hone laga hai ab toh
Tere labo se sata hua yeh rang, jaise suraj doobne hi wala ho
Tere mathe pe saji hui yeh bindi, jaise chand nakhre karke baitha ho
Tere chehre pe chitakti hui yeh baarish ki bunde, jaise sagar ne khol diye ho chor apne

Is raat mein itne chamak kahan ki tujhse mukabla kare
Is chand mein itna gurur kahan jo tujhse jyada khubsurat lage
Is aag mein itni lalk kahan jo tere sanson ki garmi ko bujha paye
Is duniya mein itni achhai kahan, jo tere jaisa koi aur mil paye

Hum intzaar mein hai ki koi hume utha de is sapne se
Kyunki tera sachmuch ka hona ek khwaab mein bhi mumkin nahi

Par kaise samjhaun mein khudko, ki chua hai is khwab ko maine
Mehsoos kiya hai samate hue is khwab ko khudme
Rab ki inayat aisi hui mujhpe, ki khwab hakikat ban gaya tha meri
jee toh chuka hi hun mein is jindagi ko tere baalon ke sayein mein
Yaad hai tujhe woh chupke se tujhe darana,
Tham lena tere hath ko un ubad khabad rason pe
Who naam likhna mera teri kamar pe aur har akshar ke sath chum lena teri kalai ko
Yakin ho gaya tha mujhe ki jannat sirf baton tak hi simit nahi hai

Par kismet bhi ajeeb ehsaas karti hai mujhe
Ab dard se jyada sachha aur apna shayad hi koi aur lagta hai

Samjha raha hun is dil ko, ki na jaye teri aur
Lagta hai aaj neend phir bewafai karne wali hai
Waqt ki ek sui hunesha ishara deti hai mujhe,
Par aage badhne ke liyen raasta bhi toh jaruti hai
Samjhate hain mere yaar mujhe, ki jindagi haseen hai
Yaaro ki kya sunu mein,aajkal toh yeh dil bhi dil ki nai sunta.
maan liya ki aaj ki raat bhi takiye ko pakad ke karwate badalenge hum
Aisi anginat raton ne jaise aadat bana di hai yeh
Uthunga phir se in takiyo ki god mein
Kyunki yadein gili hoke sama chuki hai inme

Gustakhi toh sharab ki bhi nahi hai
Ki haseen hone ke mayne hi badal diye hain is chehre ne
narajgi chand pe bhi kya nikalun mein,Aakhir aaj chand poora hai